Programming kyu sikhna chahiye
Aaj mai aaplogo ko bataunga ki kyu aapko programming language ko sikhna chahiye. Dosto sabse pahle mai aapko bata du ki bahut sari log hai is duniya me jo ki faltu ki samay barbad karte rahte hai aur sochte hai unke career ke bare me.To aiyee aj isi post me hum batayenge ki programming or coding sikhne ke kya kya fayde hai aur bartman market me iska kya pravab hai. Kya isse aapko kuch fayde hoga ki nehi aur kya fayde hoga. Yeh sab hum aapko isi post me batayenge.
To bina samay gabate hue aage barte hai.
Dosto sabse pahle hum aapko batayenge programming karne ki kuch fayde aur yeh kyu kiya jata hai...
#1. Learn Coding
Dosto coding karne or sikhne me bahut farq hote hai. Jo beginner coder hai wo nehi jante kaha se suru kiya jaye. Aur jo expert level programmer hai wo bahut jaldi coding karte hai.Bahut sari log aisi bhi hai jo ki programming ko sikhne se darte hai aur wo bolte hai ki coding koi bachho ki khel nehi hai. Lekin asal me to coding ek bachhe bhi kar sakte hai. Sirf aapki jarurat hoti hai ek sahi instructor (mentor). Agar aap system mankar programming karna sikhoge to aap code enter karna sikh jaoge.
yeh badi asan hai. mai bhi jab programming me enter kiya hai to mai bhi kuch nehi janta thha. Dhire dhire sab kuch sikh liya maine aur aaj ek programming blog bhi chala raha hu.
Dekhiye dosto duniya me bahut sari programming language hote hai, aur hume sab language ki hi jarurat parti hai kahi na kahi. Aap agar internet chala rahe ho to internet ki har system ya tools program or code se hi bani hoti hai.
Agar programming na hote to aap mobile, TV, computer kuch bhi nehi chala sakte. To sochiye ekbar hamare jiban me programming ki abasyakta kitni hogi.
Agar aap programming language ko sikh jaye to aapka bahut achha hoga kyu programming ki demand bahut hai ajkal ki market me.
#2. Thousand of jobs
Dosto humne pahle hi bata diye ki today's market me sabse demand programming ki hai. Agar aapko low competition wali job dhundna hai to wo coding job hi hai.Ek normal C/C++ developer mahine me 25000 se 30000 rupay kamate hai sirf programming or software ki kaam karke.
hamare bharat technology me bahut aage chala gaya hai aur hamare desh me programmer ki sankhya bahut kam hai dusri desh ke tulna me.
America me bharat ke tulna me 20 guna jada programmer rahte hai. Aur jo companiya bharat me business karne ke liye aate hai wo ek programmer job seeker dhundte hai.
Aur isi karan aapko hazaro coding job mil jayenge. Ajkal to freelancing website such as fiverr, elance, upwork me coding karke bahut logo ne bahut paisa kama raha hai.
To aap bhi unlogo ki tarha programming karke bahot paisa kama sakte hai. Aap agar achhi programming sikh liye to aapki job ki kami nehi rahegi.
#3. Memory Sharpness
Friends programming ko high end technology experts ne aapke bahut research and developments ke dwaran banaye thhe. yeh programming technology se aapka mind power bar jata hai jo ki memory ko sharp karne me istamal hota hai.Germany me hua ek scientific report ke mutabik jo log programmer hai uske brain power (IQ level) bahut jada hote hai, kyuki yeh specific code se bane hote hai aur aapko dimagi tor par majbut karte hai.
Jo log programming karte hai uske mathematics bhi achhi tarha se solve ho jati hai.
#4. Advantage in Govt. Job
Dosto hum sab jaante hi hai ki Govt. job kitni muskil se milte hai. Aur aaj koi bhi government job me computer learning to must hai. Agar aap computer nehi jaante to aapko Govt. job me thoda problem aa sakti hai.Aapke resume ya CV me agar aap programming likte ho to aapke interview me bahut fayde hote hai. Maine aapko bola hai ki bharat desh me programmer bahut kam matra me hai, to agar aap ek programmer ho to interview me aap 1 step age rahoge. Yeh mera guarantee hai.
Dosto ajkal bahut sari government job ki question paper me jo computer paper hote hai usme programming ki question diya jata hai. Agar aap programming nehi jaante ho to aap isko solve nehi kar paoge.
#5. Knowledge increase
Dosto programming karna bahut easy hai yadi aap sahi se program ko skhte ho to. Basic me C program aur bad me java programming ko learn aap kar sakte ho. Dosto is technology ki yug me sabko programming sikhna chahiye. Kya pata koi bada sa career wait kar rahi hai aapke liye.Dosto iske alawa bhi agar aap aapke knowledge increase karna chahte ho to faltu ki samay barbad na karke kuch sikhlijiye. Isse aapko bahut fayde hoga.
Dosto programming ke bahut aur unginat fayde hai. Agar hum pura fayde ki list nikale toh yeh post kabhi bhi kahatam nehi hogi. kyuki ajkal ki duniya me sabkuch program se hi chalte hai.
Kon log programming learn kar sakte hai
Dosto programming to bachhe se lekar bujurg koi bhi learn kar sakte hai. Lekin hum aapko batayenge kon kon log jinka programming sikhna anivarya hai.
- Job Seeker ( jo job dhund rahe hai )
- Jo log Government competitive exam ki tayari kar rahe hai
- Jiske job ya business me utar charav aa rahe hai
- Jo computer teacher hai
- Jo math teacher hai
- Jo aapne career ko lekar bahut paresan hai
- Jo internet se naye naye cheez learn karna chahte hai.
Ajkal bahut si log Facebook, whatsapp par dinbhar pare rahte hai aur aapna kimti samay ko barbad karte rahte hai. Uske liye mai bataunga ki agar aap dinme 30 minutes programming sikhenge toh aapko bahut fayda hone wali hai.
Yeh social media ke chakkar me na fase. Jivan me kuch karna chahte hai to kuch sikhna bhi chahiye, dinbhar facebook me jo log samay bitate hai uska kuch nehi hoga.
Khud ko badalne ki samay aa gaya hai, dosto mera salha yeh hai ki aap facebook me na samay byatit karke nana prakar ke blogs ko follow kare. Youtube video ko follow kare jo aapko gyan dega.
kaha se programming sikhe
Dosto programming sikhne ke liye bahut sare books available hai, aap kisi bhi book shop se programming book kharid karke coding sikh sakte hai.Youtube me bahut sari video hai jo programming tutorial dete hai, hala ki mai isko jada pasand nehi karta.
Dosto uske bad aata hai websites, dosto programming ki website ki naam par 2 website bahut bada hai, ek hai w3school aur dusra hai tutorialspoint. Lekin phir bhi yeh thodi outdated aur unprofessional guide dete hai. Agar aap ek beginner ho to sayed aapko yeh website avoid karna hoga.
Friends ab aata hai programming blog, yeh mai pasand karta hu. kyuki blog me roz post kiya jata hai aur updated content aapko diya jata hai. Dosto maine aapna programming blog beginner's ke liye banayi hai jisme Sab programming language tutorial jaise ki Python ke variable se lekar end tak, ya phir java aur C codes bhi available hai. Isme me top to bottom publish karta hu.
Ye ek Guest Post Hai kuhak chakraborty ke dwara likha gaya hai Aapko inke blog par Programming Se related Sabhi post mil jayengi
www.pybeginner.org
Thank You very much,
Aasa karta hu aap is post se kuch life me change karoge.
0 Comments
■ अगर आपका कोई सवाल है तो कमेंट करे ।
■ आपको हमारा पोस्ट कैसा लगा कमेंट में बताए ।
■ कमेंट में गलत शब्द का उपयोग ना करे ।